Home / ai sanam / Haider Ali Aatish Ghazals, Nazms-Ai sanam jis ne tujhe chaand kii suurat dii hai

Haider Ali Aatish Ghazals, Nazms-Ai sanam jis ne tujhe chaand kii suurat dii hai

Ai sanam jis ne tujhe chaand kii suurat dii hai
Usii Allah ne mujh ko bhii muhabbat dii hai
TeGh be-aab hai na baazuu-e-qaatil kamzor
Kuch giraan jaanii hai, kuch maut ne fursat dii hai
Furqat-e-yaar men ro-ro ke basar kartaa hun
Zindaganii mujhe kyaa dii hai, musiibat dii hai
Josh paidaa kiye sun’ney ko tiara zikr-e-jamaal
Dekhne ko terii aankhon men basaarat dii hai
Kamar-e-yaar ke mazmuun ko baandho “Aatish”
Zulf-e-khuubaan sii mire tum ko tabiiyat dii hai

 

About fbkidunya

Check Also

Urdu Sad Mosam Shayari- Mosam Badal Gaye

Mosam Badal Gaye Zamaane Badal Gaye Lamhon Main Dost Barson Puraane Badal Gaye Din Bhar ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

//