Home / Allama Iqbal / Top Motivational Mobile SMS Shayari of Allama IIqbal

Top Motivational Mobile SMS Shayari of Allama IIqbal

Kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
K hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein


Tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
Wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein


Tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein


Dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
Na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein


Na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
Mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein


Na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
Na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein


Jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
Tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein

About fbkidunya

Check Also

Dr.Allama Muhammad Iqbal Motivitional Urdu Online Shayari

Mohabbat ka junun baqi nahin hai Musalmanon mein khun baqi nahin hai Safen kaj, dil ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

//