Home / best Urdu Ghazal / Yeh na thee hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota

Yeh na thee hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota

Yeh na thee hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rahtay yehi intezaar hota,

Tere waade par jiyee ham to yeh jaan jhoot jana
Keh khushi se mar na jaate agar intezaar hota,

Yeh kahaan ki dosti hai bane hain dost naaseh
Koi chaarasaaz hota koi ghamghuzar hota,

Kahoon kis se main keh kya hai shab-e-gham buri balaa hai
Mujhe kya bura tha marana agar aikbaar hota,

Huay mar keh ham jo ruswa huay kyun ka gharq-e-dariya
Na kabhi janaza uthata na kahin mazaar hota,

Yeh masaael-e-tasavvuf yeh tera bayan ghalib
Tujhe ham wali samajhate Joh na badaakhwar hota.

About fbkidunya

Check Also

Pass aa zara dil ki baat bataon tujh ko…

Pass aa zara dil ki baat bataon tujh ko  Kaisay darhakta hay dil awaz sonaon ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

//